SMS Categories
 

Urdu Poetry SMS

SMS

Mujh se pehli c muhabbat mere mehboob na maang
main ne samjha tha k tu hy to darakhshan hy hayat

Tera gham hy to gham e dehar ka jhagra kia hay
Teri Surat se hay aalam main baharon ko sabaat
Teri aankhon k siwa dunia main rakhaa kiya hai
Tu jo mill jaye to taqdeer nigoon ho jaye
Youn na tha, main ne faqat chaha k yun ho jay
Aur Bhi Dukh hain zamanay main muhabbat k siwa
Rahatain aur bhi hain wasal ki rahat kay siwa

An ginnat sadiyon k tareek bahemaana talism
Resham o Attlas o Kamkhawb main banwaye huay
JaBaja biktay huay kucha o bazaar main jism
Khaak Main Luthray huay Khoon Main Nehlai huay
Loat Jaati hay idhar ko bhi nazar kiya kijye
Ab Bhi dillkash hay tera husan,magar kiya kijye
Aur bhi dukhhain zamany main muhabbat k siwa
Rahatain aur bhi hain wasal ki rahat key siwa

MUJH SE PEHLI C MUHABBAT MEREY MEHBOOB NA MANG

POET: FAIZ AHMAD FAIZ

SMS
LAFZ KO PHOOL BANANA TO KARISHMA HAY FARAZ
HO NA HO KOI TO HY TERI NIGAARISH MAIN SHAREEK
SMS

GHAM HAY YA KHUSHI HAY TU
MERI ZINDAGI HAI TU

AAFTON K DOR MAIN
CHAIN KI GHARI HAI TU

MERI RAAT KA CHARAGH
MERI NEEND BHI HAI TU

MAIN KHIZAAN KI SHAAM HUN
RUTT BAAHAR KI HAI TU

DOSTON KAY DARMIYAAN
WAJH E DOSTI HAI TU

MERI SAARI UMAR MAIN
EK HE KAMI HAI TU

MAIN TOU WOH NAHEE RAHA
HAAN MAGAR WOHI HAI TU

NASIR ISS DAYAR MAIN
KITNA AJNABI HAI TU

POET: NASIR KAZMI

SMS

Suna hay log usay aankh bhar k dekhtay hain
So uss k shehar main kuch din thehar k dekhtay han

Suna hay rabat hay uss ko kharab haalon sey
So apnay aap ko barbaad kar k dekhtay hain

Suna hay dard ki gahak he chashm e naaz uss ki
So hum bhi uss ki galli se guzar k dekhtay hain

Suna hay uss ko bhi hay sher o shairi se shaghaf
So hum bhi mo"jzay apnay hunar k dekhtay hain

Suna Hay bolay to baaton se phool jhartay hain
Yeh baat hay to chalo baat kar k dekhtay hain

Suna hay raat usay chaand takta rehta hay
Sitaray baam e falak se utar k dekhtay hain

Suna hay din ko usay tittliaan satatee hain
Suna hay raat ko jugnoo thehar k dekhtay hain

Suna hay Hashar hain uss ki ghazaal see aankhain
Suna hay uss ko haran dasht bhar k dekhtay hain

Suna hay raat se barh kar hain kaakulain uss ki
Suna hay shaam ko saaey guzar k dekhtay hain

Suna hay uss k labon se gulaab jaltay hain
So hum bahaar per ilzaam dhar k dekhtay hain

Suna hay aaina e tamsaal hai jabeen uss ki
Jo saada dil hain usay bun sanwar k dekhtay hain

Buss ek nigaah se lut"ta hay qafila dil ka
So rah rawan e tamanna bhi dar k dekhtay hain

Suna hay uss k shabisstaan se muttasil hai bahisht
Maseeh udhar k bhi jalway idhar k dekhtay hain

Rukay to gardishain bhi uss ka tawaf karti hain
Chalay to usko zamanay thehar k dekhtay hain

Kahaniaan he sahi, sub mubalghay he sahi
Agar wo khawb hy to taabir kar k dekhtay hain

Ab uss key shehar main thehrain k kooch kar jain
Faraz Aaao Sitaray Safar K Dektay Hain

SMS
Mumkin Jo Agar Hota
Hum Tum Ko Bhula Dete,
Yadon Ko Kafan De Kar
Be Maut Sula Dete,
Tanhai Main Jee Lete
Tum Ko Na Saada Dete
Is Dil Se Tere Dil Tak
Dewaar Utha Dete
Mumkin Jo Agar Hota
Hum Tum Ko Bhula Dete
SMS
Suno ik kam karna,
Chand se kuch miti lana,
Us se tum pyar ka mujasma banana,
Ik tum jesa!
Ik muj jesa!
Phr un ko tum tor dena,
Phr un se do or banana,
Ik tum jesa!
Ik muj jesa!
Ta k tum me kuch kuch main reh joan,
Our muj me kuch kuch tum reh jao…..!
SMS

Pyar k deep jalaney waley kuch kuch pagal hotey hain,
Apni jan se janey waley kuch kuch pagal hotey hain,

Hijr k gehrey zakhm miley to muj ko ye ehsas hua,
Pagal ko samjhaney waley kuch kuch pagal hotey hain,

Jan se pyarey logon se b kuch kuch parda lazim hai,
Sari bat bataney waley kuch kuch pagal hotey hain,

Us k ishq me bheeg kar hum ko ye ehsas hua,
Dil ki baat me aney waley kuch pagal hotey hain,

SMS

Main is hisar se niklon to or kuch sochon,
Tumhare pyar se niklon to or kuch sochon,

Teri gali k elawa b or kariye hain,
Jo is dyar se niklon to or kuch sochon,

Tumhare hijr ki sadiyan tumhare wisal k din,
Main is shumar se niklon to or kuch sochon,

Racha hua hai tera ishq meri poron main,
Main is khumar se niklon to or kuch sochon,

Ye mera jism k matam sarya-e-hsrat hai,
Main is mazar se niklon to or kuch sochon,

Ye muj me kon mere raat din sambhalta hai,
Is ikhtiyar se niklon to or kuch sochon......|

SMS

Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana chahta Hoon

Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Churana Chahta Hoon

Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon
Maery Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon.....!

SMS

Mohabat rog hoti hai kaha b tha,
Rula k khud b roti hai kaha b tha,

Usey tum dil ki dharti ka pata na dena,
Ye us main dard botti hai kaha b tha,

Kinare k bohat nazdeek le ja kar,
Ye kashti ko doboti hai kaha b tha,

Azal se is ki adat hai zamane ko,
Jaga kar aap soti hai kaha b tha...

     
Comments Below