SMS Categories
 

Urdu Poetry SMS

SMS

Tujh Se Milne Ka Naheen Koi Bhi Imkaan Janaan!!!
Chornay Log Chalay Mujh Ko Bayabaan Janaan!!!

Naam Tak Bhool Gaya Hoon Main Junoon Main Tera
Ab To Honton Pe Sada Rehta Hay Janaan Janaan!!
Tujh Se Milne Kaaaaa...

Mujh Se Ehbaab Yeh Kehtay Hain Bhula Doon Tujh Ko
Jesay Ho Kaam Yeh Merey Liye Aasaan Jaanaan!!!
Tujh Se Milne Kaaaaa...

SMS
Bin Tery Sara Shehar Veeran Rehta Hai
Bicchar Kar Tujh Se Har Rasta Sunsan Rehta Hay
Wo Tujhay Tujh Sey Zyada Pyar Karta Hay
Jo Trerey Samnay Aksar Bana Anjaan Rehta Hay
SMS

Yeh Hum Tasleem Kartay Hain,
Hamain Fursat Nahee Milti

Mgar!
O Meri Soch K Mehvar !
Kabhi Ye Bhi Zara Socho,
K.
Tumhain Yad Kartay Hain,
Jo Khud Ko Bhool Jatay Hain

SMS
Dard kiya hota hay batain gay kissi roz
Kamal ki ghazal tum ko sunain gey kissi roz
Thi un ki zidd k main jaoon un ko mananey
Mujh ko yeh veham tha wo bolain gay kisi roz
Qasam se main ne to socha bhi nahee tha
Woh itna meray dill ko dukhain gay kissi roz
Har roz aaiynay sey yeh hi poochta hoon Main
Kia rukh pay tabbassum bhi sajain gay kissi roz
urnay do in parindon ko azaad fiza main
tumharay hon gay to lout he ayein gay kissi roz
SMS

udas mat huwa karo..
udas mat kiya karo..

yeh ashk teri aankh kay
udas shaam ki tarah
barha rahay hain dukh mere
adhooray jaam ki tarah
jo ranj o gham k saye hain
yeh hum ne khud banaye hain
yeh khawb to azab hain
jo aankh main sajaye hain
yeh dard dhul hi jayen ge
yeh waqt beet jaye ga
jo hum nhi to na sahi
koi to jeet jaye ga
jo taiz kr de dhrkanen
wo naam mat liya karo
jo ho sakay sanam to
hansi khushi JIYA karo
udas mat hua karo

SMS

jo na hua kabhi ek raat ho gaya,
chaand ko suraj se payar ho gya,

Chaand niklaa talash main aur kho gya,
chaand k jatay he aasman udas ho gaya,

suraj to jalta he raha intezar me or aag ho gaya
suraj ki khata se chaand k liye andhera ho gaya

chaand ne ki bewafai or tarron k sath ho gaya
silah milah kuch iss tarah dono pe garehan ho gya

Kartay rahay berukhi hamesha k liye
ek bann gya din aur dusra raat ho gya

SMS

Betay ko saza de k ajab haal hua hay
Dill pehron mera karab k dozakh main jala hay

Aurat ko samajhta tha jo mardon ka khilona
Uss shakhs ko damad bhi wesa he mila hay

Har ehl e hawas jaib main bhar laya hai pathar
Hamsaaye ki berri pey abhi boor para hay

Ab tak merey aasaab per mehnat hay musallat
Ab tak merey kaanon main machinoon ki sada hay

Aey Raat! mujhay maan ki tarah Goad main le ley
Din bhar ki mushaqqat se badan toot raha hey

Shayad main Ghalat Doar main utra hoon zameen per
Har Shakhs Tahhayyur se mujhay dekh raha hay

Atraaf main baareesh buzurgon ka hay pehra
Aur Beech main sehma hua Tanveer Khara Hay

SMS

Phenkey thay ehlay shehar ne jo Aasmaan per!
Pathar tamam barsay wo merey makaan per!

Mushkil main uss haqeer chunti se le sabaq
Gir Gir kar Aakhirash jo charti thi chitaan per

Main Hoon Dhool To Mujhay Khala Main Bakhair Day
Main Chaand Hoon To Mujh Ko Saja Aasmaan Per

Rakho Sanbhal k Dasht e Mazaameen main Qadam
Naqqaad Ghaat Main Hain Adab K Machaan Per

Sipra Nazool e Sher Ki Gharyaan Guzar Gaeen
Parnay Lagay Hain Ab To Hathoray se Dhyan per

SMS
HUSAN BEGAANA HAY, EHSAAS E JAMAL ACHA HAY
GHUNCHAY KHILTY HAIN TO BIK JATY HAIN BAZARON MAIN
SMS

DEKHI JO MERI NABAZ TO ZARA SOCH KAR KAGHAZ LIA AUR ISHQ KA BEEMAR LIKH DIA,

QURBAAN Q NA JAON MAIN AISAY HAKEEM PER

NUSSKHAY MAIN JISS NE SHARBAT E DEEDAAR LIKH DIYA

     
Comments Below